kisse ki zindagi me dukh is kadar na bhar jaaye,
ke phir zindagi bhi ek dard nazar aaye,
dukh dekar insaan ko ehsaas karata hai khuda,
ke aye bande tera naseeb mere haath mein hain.
dukho ka yeh matlab nahi ki khushi ab khatam hai,
sirf ek ehsaas hai ki
jo dukh paar gaya,
wohi khushi ka hakdaar hai.
apne asliyat ko na bhool,
mat bhool ke tere upar hi ek khuda hai,
jo tujhe tera jeevan kya hai
iska ehsaas karata aur samjhata hai.
insaan ko kya hai haq pohachta
ki kisse bhi insaan ki zindagi me jhake,
kya har paraye cheez pe tera hi haq hai,
khuda se darr, tu bhi uski mehr pe zindagi ka haqdaar hai....
..........................................................................
No comments:
Post a Comment